Kya kahoon iss duniya ko?
Yehi ke isski yadaasht bahot kamzor hai..?
Yaa taarif karoon iss ki bewafaai ki?
Purani baaton ko bhool kar , har waqt
yeh naye rishton ko talash karti rehti hai;
Iss baat par ise mubarakbad dena mumkin nahi,
Aur Iss par oongli uthana bhi kaphi mushkil hai.....,
Ek Nadaan Chintak bhi Kya karein..!!
Tamaam duniya par Aarop lagane se pehle ,
Badi mushkil se khud ke ander jhnak kar dekha
to nazar aaya ,
ke iss 'Ghair Aham' kalaakar ki khud ki zindagi hai uthla
aur Iss ki soch-samajh mein bhi prakat satahipan jo hai..!!